chehre tamam dhundle nazar aa rahe hain kyun kyun khwab ratjagon ki haweli mein dab gae hai kal ki baat ungli pakad kar kisi ki main mele main ghumta tha khilaunon ke waste jitne waraq likhe the meri zindagi ne sab aandhi ke ek jhonke mein bikhre hue hain sab main chahta hun phir se sametun ye zindagi bachche tamam pas khade hain bujhe bujhe shokhi na jaane kya hui rangat kahan gai jaise kitab chhod ke jate hue waraq jaise ki bhulne lage bachcha koi sabaq jaise jabin ko chhune lage maut ka araq jaise charagh nind ki aaghosh ki taraf badhne lage andhere ki zulfen bikher kar bhule hue hain hont hansi ka pata talak darwaza dil ka band hua chahta hai ab kya sochna ki phul se bachchon ka sath hai ab main hun aspatal ka bistar hai raat hai