sae sae jale jale khamoshi khamoshi si tuti tuti uljhi uljhi be-khwabi be-khwabi si harfon se bachta bachta mani se chhupta chhupta rangon mein duba duba sanson mein ubhra ubhra zarron mein chamka chamka lahron mein sahma sahma tez hawa ke jhonkon mein ruk ruk kar udta udta nashtar zahr mohabbat dard khun ke ek ek qatre mein rah rah kar chubhta chubhta kya hai ye kaun hai ye aansu ret bane kaise palkon pe chamke kaise har manzil par lahraata hai kab se zard pharera kaun tute aadarshon ke shishe ginta hai wo baitha kaun mere har izhaar mein pinhan be-mani khamosh kyun mere thak ke so jaane mein khwabon mein bechaini kyun mere baam se ud jata hai qatra qatra nasha kyun ye roz-o-shab sare lamhe nanhe nanhe tukde tukde rag rag mein paiwast hue khun bane dard bane ek muddat se subh-e-azal se meri ruh mein kaun chhupa hai kaun chhupa hai