hamein har khel mein har baat par ai mat ke khwahan kabhi khinchenge hum bagen jununi sar-phiri andhi hawaon ki udaenge falak par chand taron se bane rath ko phir aaenge tujhe hamrah karne surmai dhundle jaziron se sunahri aas rangi sar zamin tak nae mohron se phir apna purana khel khelenge teri har mat ki har chaal ko shah-mat dekhenge