han ai gharib ladki tu bhik mangti hai chashm-e-sawal teri kuchh kah ke jhuk gai hai tu bhik mangti hai sharm-o-haya ki mari aur sar se le ke pa tak hai kapkapi si tari aankhon mein hai nami si aaina si jabin hai tujh ko gadagari ki aadat abhi nahin hai qismat mein gesuon ki aaina hai na shana shayad teri nazar mein tarik hai zamana ye tera jism-e-nazuk bosida pairahan mein jaise gul-e-fasurda ujde hue chaman mein jhuk jaen tere aage shaitan ki nigahen par kha rahi hain tujh ko insan ki nigahen pakizgi pe teri sita ko pyar aae masumiyat pe tujh ko maryam gale lagae huren lapak ke chumen, paen qadam jo tere har naqsh-e-pa pe tere sajde karen farishte ai kash wo batae hai jis ki ye khudai ye chashm-e-nargisi hai ya kasa-e-gadai! lab hain ki pattharon ke tukde jame hue hain! rukh hain ki rahguzar ke bujhte hue diye hain!