agar koi rut sitam-ada ho hawa ho barham faza mukaddar to us ko badh kar gale lagana ise badalna use manana main jaanta hun harif koi ana-gazida jo mujh pe tikhi nigah dale to us ke tewar ki har kaman ko agar chadhi ho utar dun tesha-e-nazar se koi muhim de agar chunauti meri azimat ka imtihan le to meri khud-etimadi-e-jaan use musakhkhar bana ke chhode sawal ye hai agar koi pir tasma-e-pa safed baalon safed abru ki barchhiyan aur kaman uthae ghazab se apne mujhe darae to us se kyon kar panah paun wo badh ke apni kamand dale to kaise ye jism-o-jaan chhudaun koi to ho is sadi ka gautam hakim sina ki ibn-e-mariyam jo dasht-e-umr-e-rawan ke girdab se nikale azab-e-piri ki kahishon se bashar ko ladne ka hausla de