tan-e-nazuk pe us ke pairahan hai sabz aur dhani kahin par lajwardi surmai aur nuqrai zewar tilai nag jade hain ja-ba-ja jin mein hatheli qurmuzi rangat kahin par silsila-dar-silsila kohsar khade hain sar uthae ek shan-e-be-niyazi se kahin aaghosh mein chashme chhupa hai zindagi ka raaz jin mein khutut-e-dil-ruba aise ki sayyar-o-sawabit ki hadon ko napta rahrau bhi rasta bhul baithe dam-ba-khud ho kar nigah utthi zara thithki nigah-e-shauq mein badli palatne se hui munkir chalo aawara-gardi tark karte hain yahin par khema-zan ho kar kisi ke chashm-o-abru par mata-e-jaan ye fani zist hum qurban karte hain magar kuchh pal hi guzre aur wo zirak nigahen tod kar waraftagi ke sehr ko wa sakhkhara ki nai ta'bir mein mashghul hain ab