mujhe malum tha tum rasta badloge tabhi aankhon mein khwabon ko zara si bhi jagah na di magar ye dil magar ye dil bahut kambakht hai sunta nahin meri so ab jo tum ne apni rah badli hai to ab masum ban ke rota-dhota hai mujhe kahta hai phir aaghosh mein le lo mujhe sine mein phir rakh lo main ab ho baat manunga magar wo kya hai nan us par tumhaara nam kanda hai tumhaara nam ab wahshat se badh kar kuchh nahin deta usi ki chiz hoti hai ki jis ka nam likkha ho tumhaari sari chizen to tumhein lauta chuki hun main suno ye dil bhi le jao aur apni chizen ab sambhaal kar rakhna dobara se tumhaare nam ka kuchh bhi kabhi bhi aur kahin se bhi kisi tarah bhi mere pas na aae main sayyad hun main jo ek bar de dun phir use wapas nahin leti