kitni achchhi hoti hain is se hone wali kuchh aakhiri mulaqaten waqt wo hi hota hai rang wo hi hota hai aur baat karne ka dhang wo hi hota hai jate hain wahin jis ja pahli bar dekha ho dur jate rishte bhi ek pal ko lagta hai jaise pas aate hon dil dhadakne lagta hai sard jism mein yak-dam zist daud jati hai ek lamhe ko jaise duniya thahar jati hai bas us ek lamhe mein jitna arsa bhi us ke sath mein bitaya ho dil mein aur aankhon mein ghum ghum jata hai jab wo lamha chalta hai tab ye yaad aata hai waqt ja chuka achchha ab hain to faqat yaaden kitni achchhi hoti hain us se hone wali kuchh aakhiri mulaqaten