raushniyon se ghire ek bahut bade maidan mein kisi ne ek purana calender latka kar wahan maujud tamam afrad se ye kaha hai ki wo is mein aaj ka din aur aaj ki tarikh talash karen log is calender ka ek aur warq ulatte hue mayusi ke samundar mein gharq ho rahe hain un ki ye koshish aisi hi hai ki jaise koi kisi band ghadiyal se sahi waqt ki tawaqqo kar raha ho aisa mahsus ho raha hai ki wahan maujud tamam afrad apne hi janaze mein sharik hain aur apne hi dafn hone ke manzar