main zinda hun ki ek aatish-dan ke andar jahan par waqt jaisi sakht-jaan shai bhi pighal jae ki jis ke samne ye aasman ek baiza-e-mor aur zamin ek nuqta-e-mauhum hai dekho ki mujh mein waqt jaisi sakht-jaan shai aur zamin-o-asman hal hain main zinda hun ki aatish-dan hai mujh mein