phir tasawwur pe chha gai hai tu phir mujhe dhyan aa raha hai tera phir badha ja raha hai josh-e-junun phir hua ja raha hun diwana mahwiyat si hai be-khudi si hai dil mein phir bas gai teri taswir dekh kar dekhta hi jata hun ruh-e-pur-nur qalb-e-pur-tanwir husn-e-nazzara hai hayat-afroz dil-nashin hai ye khwab ki duniya aa gai tu mujassam aankhon mein bas gai hai koi nai duniya reshmi sabz rang ki sadi jo sarak aai sar se kandhon par zinat-e-husn-o-zeb-e-araish tar-tar us ka hai nazar-parwar le raha hai balaen aariz ki wo tere kan ka hasin bunda kis qadar hai ye mast-e-lazzat-e-qurb jhumta hai surur mein kaisa gham hai zauq-e-nazar nazare mein kis tasawwur mein kho gaya hun main ab to ye bhi mujhe nahin malum jagta hun ki so gaya hun main