zara jalwa-e-kaif-asar dekhne de utha de naqab ek nazar dekhne de mera zauq-e-dil dekh kar dekhne de dikha jalwa apna pata pa raha hun utha parda phir hosh mein aa raha hun zara be-khudi ka asar dekhne de na chhup tu dikha kar jhalak ek zara si mera dil bhi pyasa hai aankhen bhi pyasi nazar bhar kar ai jalwa-gar dekhne de rahe lakh pardon mein pahchanta hun main roz-e-azal se tujhe jaanta hun hijab-e-nazar dur kar dekhne de tasawwur ko husn-e-haqiqat bana de tasawwur hi mein ru-e-anwar dikha de mujhe aaj tab-e-nazar dekhne de main is ke siwa aur kya chahta hun tujhe umr bhar dekhna chahta hun hujum-e-tajalli agar dekhne de