aaina-khana-e-alam mujhe malum hai ye mauja-e-waqt pe jo aks ubharte hain yahan un ki qismat mein fana likhi hai na to imroz hai kuchh aur na hi farda hai ek do roz ka lamha hai ye hasti apni saikdon aks ubharte hain bikharne ke liye aaina-khane ki virani ka aalam ye hai ek bhi aks ko mahfuz nahin rahna hai aks-dar-aks ajab aalam-e-ujlat hai yahan roz taswir badal jati hai mai-khane mein saghar-e-hast uthane bhi nahin pate abhi saqi-e-nist hamein jam-e-fana deta hai hai ajab aalam-e-ujlat ki yahan har lamha dusre lamhe ko kha jata hai qatil ban kar aab-o-gil gundh ke kuze jo banae gae hain un ki takhliq ka hasil hi bikharna thahra kuza-gar kya tujhe taklif nahin hoti jab tera fan khak mein mil jata hai