adhuri taswir

ai musawwir meri taswir padi hai kab se
ab kisi taur zara is ko mukammal kar de

apni takhliq mein wo rang bhi shamil kar de
jo tere zauq-e-hunar ki bhi gawahi thahren

jhil si aankhon ki gahrai mein tu dub gaya
surkh dore jo hain hairat ke na dekhe tu ne

lab ke paimane teri pyas bujhate hain magar
tishna paimanon ko to jurat-e-izhaar bhi de

meri taswir dhanak rang nahin ho pai
mere khwabon ko teri aankh nahin dekh saki

tu hai khattat mere harf-e-badan ke badle
wo lakiren bhi bana fikr ko zahir jo karen

gesu-o-ariz-o-lab hi tera mear rahe
sang-e-marmar ka badan hi tera shahkar rahe

main kuchh us se bhi siwa hun tujhe malum nahin
main teri dost hun lekin teri mahkum nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close