bayaz chori hui hai janab-e-'ali' ki bayaz-chor ne chori badi misali ki zarur chor koi sariq-e-adab hoga use bayaz churane ka khas dhab hoga main aise chor ki danish-wari pe hun hairan jo ek raat mein ban baitha sahab-e-diwan janab-e-'ali' ke column the jitne matbua samajh ke chhod gaya un ko nasr-e-mamnua ajib chor tha nasri kalam chhod gaya bayaz le gaya column tamam chhod gaya ghazal ke sath gai masnawi bhi doha bhi tamam shahr ne mana tha jis ka loha bhi chhupa hua tha jo shair nikal raha hoga wo is bayaz ke maqte badal raha hoga janab-e-'ali' ki fikr-e-jamil thi ye bayaz rubaiyon mein badi khud-kafil thi ye bayaz jis anjuman mein ye jati thi hashr karti thi adab ke sath siyasat bhi nashr karti thi mushaeron mein ba-sad ehtiram aati thi yahi bayaz musibat mein kaam aati thi isi bayaz se dohon ko aazmana tha wo shakh hi na rahi jis pe aashiyana tha