bhuk ke shishe bhi dhundhle pad chuke hain ab shisha to zariya tha uthe hue hathon aur soe hue bad-rang dhabbon ke beach aar-par dekhne ka bandhi hui mutthi aur phaile hue hathon ke beach chup aur chillate hue hathon ke beach roti ek rishta thi aur ye rishta bhi bhuk ke shishon ki tarah dhundhla hota ja raha hai to kya bhuk ka shisha roti ka rishta andhere mein khulte we dwar hain jahan hum ek dusre ko nahin pahchante