ai mote aalu ye to batao kya hai tumhaara mandi mein bhaw kitne ke kitne milte ho yani paimana apna hum ko batao gin gin ke lete hain log tum ko ya centimeter mein nape jao ya ki liter mein lagti hai qimat ya beche jao tum paw paw mujh pe musibat baji ne dali munnu ke bachche aalu to lao tum hi batao kaise khridun ai mote aalu jaldi batao ai mote munnu golu matolu jao sadak par siti bajao lala lala la lala lala la lala lala la bas gae jao patthar uchhaalo dande sambhaalo kutton ke lashkar farfar bhagao kuchh ulte sidhe kartab dikha kar kuchh ongi bongi baaten banao padhna na aae likhna na aae karne chale ho tum bhaw taw ai mote munnu paimane sikho mujh se na uljho bas jao jao