barsat aur shair

tha darakhton ko abhi aalam-e-hairat aisa
jaise dilbar se yakayak koi ho jae do-chaar

daliyan hilne lagin tez hawaen jo chalin
patte patte mein nazar aane lagi taza bahaar

sansanahat hui jhonkon se hawa ke aisi
chhat gai hun kahin lakhon mein hawai yakbar

rad garja are wo dekhna bijli chamki
halki halki si wo padne lagi bundon ki phuwar

raat tarik hai aaya hai umand kar baadal
main akela na koi yar na koi gham-khwar

sard jhonkon mein hawa ke hai latafat aur dil
is ka khwahan hai nahin milne ke jis ke aasar

aisi bechaini khudaya na ho dushman ko nasib
is se bad-tar na kisi ko ho ilahi aazar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close