aana hai to aa rah mein kuchh pher nahin hai bhagwan ke ghar der hai andher nahin hai jab tujh se na suljhen tere uljhe hue dhande bhagwan ke insaf pe sab chhod de bande khud hi teri mushkil ko wo aasan karega jo tu nahin kar paya wo bhagwan karega kahne ki zarurat nahin aana hi bahut hai is dar pe tera sis jhukana hi bahut hai jo kuchh hai tere dil mein sabhi us ko khabar hai bande tere har haal pe malik ki nazar hai bin mange hi milti hain yahan man ki muraden dil saf ho jin ka wo yahan aa ke sada den milta hai jahan nayay wo darbar yahi hai sansar ki sab se badi sarkar yahi hai