to aisa kyun nahin kahte ki ye sapne hi mere karb ke zamin hain un ke hi sabab se main jhulaste reg-zaron mein barahna-pa bhatakta hun inhi parchhaiyon ko jism dene ki tamanna mujh se aasaish ka har lamha maze ki nind aasabi sukun sab chhin leti hai yahi wo zahr hai jis ne mere khun ke namak ko nim ke ras mein badal dala to aisa kyun nahin kahte ki main sapnon ke is arzang ko suraj ki jalti bhattiyon mein phenk dun sab kuchh jala dalun kisi langar-shikasta naw ki manind dhaare par rawan ho jaun har ek mauj ke hamrah dubun aur ubhar aaun to aisa kyun na kar pae wo jo kuchh mera hissa tha mera wirsa tha mujh se chhin lete aur mujhe jangal ke behis ped ki manind uga dete jo har mausam ke hamrah apna pairahan badalta hai hawa ke jhonke dete hain ijazat jis taraf badhne ki badhta hai zamin ki narmiyon ko dekh kar apni jaden paiwast karta hai magar tum ye na kar pae mera wirsa na mujh se chhin pae aur wo pahla shakhs jis ne sab se pahla khwab dekha tha abhi tak mujh mein zinda hai to aisa kyun nahin karte unhi sapnon unhi parchhaiyon ko jism de dalo jinhen ek jism dene ki tamanna mujh se aasaish ka har lamha maze ki nind aasabi sukun sab chhin leti hai