aanchal ke pallu ko ganTh nahin lagti

aaj tumhaare shahr se wapas laut rahi hun
lekin kaise

sabit-o-salim kaun palat kar jata hai
kis dil se aai thi main

tum se milna kaisa hoga
jaane kya kuchh man mein tha

tum se milungi aur
tum se milungi aur bahut si baaten hongi kuchh honton se bah niklengi kuchh aankhen tahrir karengi

lekin ye sab khwab tha mera
dekho wapas laut rahi hun

tarkol ki bal khati ye sanpon jaisi sadken har ek mod tumhaari yaaden
aur hawa mein lams tumhaara

bhigti aankhen le kar wapas laut rahi hun
laut rahi hun khali aankh aur khali hath

dur ufuq par zard udasi ki chadar mein lipta chand
bijli ke taron par baithe kuchh khamosh parind

is chalti gadi mein jaise main afsurda-jaan
ek taraf chidiyon ka chamba pedon par wo shor machata

lekin jis ka dil bujh jae us ko in se kya
ponchh rahi hun bhigti aankhen

ek ek karke teri yaaden
aanchal ke pallu mein bandh rahi hun

lekin ganth nahin lagti hai
meri poren sath nahin hain

jaise mere hath nahin hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close