babul teri yaad

baba aise mein tum yaad bahut aate ho
kaisi rut hai

aisi rut mein
aankhen kyon bhar aati hain

kyon tan-man se huk uthti hai
kyon jiwan be-mani sa lagne lagta hai

ghar suna viran ye aangan
aur kamron mein wahshat

babul main tanha
meri qimat tujh bin kya hai

kuchh bhi nahin hai
main to kanch ka moti hun

babul ka aangan to sawan mein yaad aaya karta hai
lekin baba main to patjhad dekh ke roti hun

baba aise mein tum yaad bahut aate ho
raat ko sukhe patte

sahn mein girte hain
guzre din kab phirte hain

phir aati rut phul khilenge
phir qabron par rona

aur qabron sa hona
mitti ki tah mein bhi ja kar

rishte kab mitte hain
dard ki dimak jism ko chatti rahti hai

aur sanson ke dhage katti rahti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close