aankh hi dard pahchanti hai main is route par paheli gadi ka mehman tha be-tarah ghumti gend par ab nafas jitne anfas ka aur mehman hai un ki ginti meri dastan mein nahin khak ki naf se khak ke batn tak chand saat ki raushni poshishen battiyan taza model club taza-rukh gadi aur ban aur gul-chehra interpreter yahi chaar-aina chehra ki chehre mein taswir-e-ayyam se raunaqon mein base is tilismat mein din jo viran kate jo shishen ghani raat mein kho gain so gain aasmanon pe khali ka chand nak-naqsha bikharne pe qadir hua jis ki tahwil mein do munde daere aankh ke hain faqat aankh ke hath par naqsh hain aankh khali nahin