mere kapdon ko kide kha gae to main ne ye socha mere nange badan ka bhi yahi anjam hona hai magar ye jaan kar main kitna khush hun kitna aasuda ki meri ruh mera zehn aur afkar-o-ehsasat hain mahfuz kidon se mujhe un ka khayal aata hai jin ki ruh ko aur zehn ko chata hai kidon ne chhupana chahte hain jo libas-e-fakhira mein an-ginat kide dabana chahte hain itr ki khushbu se jo baatin ki badbu mein jinhen kidon ne kida kar diya hai lekin nazar aate hain jo ab bhi hamein insan ki surat ki hain kuchh aur din un ke libas un ke badan mahfuz kidon se wo din nazdik hai jab un par zahrili dawa chhidkenge nasl-e-nau ke danish-war