aankh ki putli patthar jaisi

apne dil ki qaus-e-quzah ke
tukde tukde kar ke main ne

lamha lamha rang bikhere
suraj ki har lahza barasti aagon ko

apne hi pighalte tan mein samo kar
chandni jaisi ek thandi chhitnar banai

bhuri darida-tan dharti par
ashkon ke baadal barsa kar

pili hari chadar phailai
apni nazar ki sunahri kirnon ki barish se

mangon mein sindur bhara
mere lahu ke mithe ras se

janam janam ke pyase sahraon mein jal-thal
bhikshu aae

mangon ke sindur ko chata
pili hari chadar ko raunda

lambe nakhunon wale khurdure hathon se thandi chhitnar pe jhapte
pak pawitra jal-thal mein kale jismon ki syahi gholi

mere dil ki qaus-e-quzah se zanjiron ke halqe dhaale
ab main simti aankh ki putli


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close