aankh-micholi

bandar chuha aur khargosh
hanste hanste the behosh

pas thi ek gilahri bhi
thi chuhe se moti bhi

aur kutta tha munh khole
tangon mein tha nekar pahne

sab se badi thi lomdi
thi us ki moti khopadi

ye sab hi pyar se rahte the
sab nachte gate hanste the

ek din wo bole khush ho ke
hum aankh-micholi khelenge

jo pakda jae chor bane
us ki aaankhon pe patti bandhe

jo bhi pakda na jaega
aakhir raja kahlaega

pahle kutte ki bai thi
us ki sab se hi yar thi

us ne socha kis ko pakdun
aakhir main kis ko chor kahun

itne mein bola bandar bhi
aae hain miyan-chhachhundar bhi

kahte hain main bhi khelunga
main aakhir sab ko pakdunga

kutte ne kaha aane do ise
han chor zara banne do ise

ye sun ke shaikhi mein aa ke
khud aap chhachhundar ne badh ke

kutte se kaha mujh ko pakdo
mere munh pe patti bandho

main har ek ko pakdunga
aakhir raja kahlaunga

ahmaq the miyan chhachhundar bhi
padhte the antar-mantar bhi

koi bhi hath na aata tha
koi bhi chor na banta tha

thak thak ke haal kharab hua
lekin na koi kisi ko hath laga

achchha nahin shaikhi mein aana
achchha nahin hota itrana


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close