qafiyon se koi chhutkara dilae ban gai taklif-e-jaan mujh ko radif bahr hai har waqt dil mein maujzan (qafiye ki aazmaish se guzar qafiya-paima na ban qafiye ne aa dabocha qafiya-paima na ho) khurdure-pan ko tarasti hai zaban kyun manjhi hain is qadar nazmen meri kyun saji hai is qadar meri ghazal (qafiye ko rok phir aane laga) zehn hai majnun-e-adab-e-sukhan dil purane ras ka rasiya hai abhi nikhat-e-mazi ka basiya hai abhi (qafiya phir aa gaya majbur hun qafiye ko rok phir aane laga) sochta hun bahr ki maujon mein jakda hun abhi qafiya to khair kafi ruk gaya bahr to tuti nahin bahr ek bahr-e-basit bahr ek dew-e-tanomand-o-muhit is qadar jiddat se kyun hai kad mujhe zehn o dil hain kyun riwayat ke asir