mere pahlu mein jo bah nikle tumhaare aansu ban gae sham-e-mohabbat ke sitare aansu dekh sakta hai bhala kaun ye pare aansu meri aaankhon mein na aa jaen tumhaare aansu shama ka aks jhalakta hai jo har aansu mein ban gae bhigi hui raat ke tare aansu meinh ki bundon ki tarah ho gae saste kyun aaj motiyon se kahin mahnge the tumhaare aansu saf iqrar-e-mohabbat ho zaban se kyunkar aankh mein aa gae yun sharm ke mare aansu hijr abhi dur hai main pas hun ai jaan-e-wafa kyun hue jate hain bechain tumhaare aansu subh-dam dekh na le koi ye bhiga aanchal meri chughli kahin kha den na tumhaare aansu apne daman o gareban ko main kyun pesh karun hain mere ishq ka inam tumhaare aansu dam-e-rukhsat hai qarib ai gham-e-furqat khush ho karne wale hain judai ke ishaare aansu sadqe us jaan-e-mohabbat ke main 'akhtar' jis ke raat bhar bahte rahe shauq ke mare aansu