main ne kya soch ke sahra mein dukan kholi hai lab-e-lalin ke tasawwur mein mangae yaqut najm laya hun ki tartib ho silk-dandan mah-e-yak-ru bhi to darkar hai abru ke liye dur ufuq par se thodi si shafaq laya hun khun mein gundh ke bhatti mein tapaunga use tab kahin surkhi-e-rukhsar huwaida hogi main ne tayyar kiya khak-e-kawakib se khamir kuchh nahin kuchh bhi nahin aaj aza-khane mein aaj khas-khana-e-khwahish mein faqat rakh hai rakh wo kisi dast-e-hunar-war ka tarasha hua til kaf-e-zau-rez ko sharmata tha mah-e-kaamil wo teri saad-e-simin ka zamurrad bhi khajil kuchh nahin kuchh bhi nahin aaj aza-khane mein aaj bhi sochta hun apne junun mein aa kar main ne kya soch ke sahra mein dukan kholi thi