sare manzar ek jaise sari duniya ek si nashpati ke darakhton se khajuron ki ghani shakhon talak duniya achanak ek jaisi ho gai hai misr ke ahram ki mahzun fazaen dam-ba-khud hain kufa o baghdad ke bazar mein kazimain o mashhad-e-earaq se nauhe nikal kar sarhad-e-labnan tak pahunche hue hain shahr-e-dilli ke andhere zulmat-e-lahore se milne lage hain shor kabul ka sunai deta hai bartania ki mahfilon mein khwahish-e-newyark zinda hoti hai dhake ki purani dilruba galiyon mein goya sari duniya ek jaisi ho gai hai sare manzar ek se ujdi hui aankhon mein sare khwab yaadon ka fusun ummid ke sare fasurda aaftab ek ho sakte hain aao in se mil-mila kar ek jahan-e-taza-tar paida karen in lahu ki bundon se raste sajaen aansuon ke ratjagon se aarzu-e-chashm-e-tar paida karen