awwalin shahr ki taskhir mein pahlu the bahut ranj ke khauf ke hairat ke shakebai ke phir ye dekha ki tan-o-jaan ke asase ke ewaz mitti hum jis pe qadam rakhte hain jis ki thodi pe lahu rang-e-alam rakhte hain us ki mamta ki hararat se alag chiz nahin jis mein hum apna nasab apna janam rakhte hain apne hone ka bharam rakhte hain