apna apna bhul calender jitna kuchh hum bhul gae hain jo jo hum se bhul hui hai wo sab likkhen wo bhi jo hum bhulna chahte hain wo bhi jo hum bhul nahin pate hain wo sab chehre jo yaadon ki bhul-bhulayyon mein sote hain unhen jaga den bhul calender mein un ki taswir laga den aur rozana bhul calender dekh ke niklen us din pichhle baras mein hum ne kya boya tha kya paya tha kya pane se kya khoya tha kya khone se kya paya tha mushkil ke kis kis lamhe mein kis ne apna hath chhudaya aur kaun kitna kaam aaya tha bhul na jaana bhul calender ab rozana bhul calender