tere matam mein mujh se kahte hain dhadkanen dil ki ja pahunchti hain jaane wale jahan pe rahte hain apni duniya se un ki duniya tak tez dhaare asar ke bahte hain sog jitna yahan hai jin ke liye utne hi dukh wahan wo sahte hain kya ghalat thi wo meri betabi kya ye sach hai jo log kahte hain main ne ro-ro ke tujh ko yaad kiya tujh ko muztar kiya ki shad kiya main ne chaha ki bhul jaun tujhe dil ko sau sau tarah se samjhaya dil na uthta tha teri turbat se minnaten karke main utha laya ghar mein baitha to teri baaton ko mujh se diwar-o-dar ne dohraya chhod kar ghar rawan-dawan bhi raha chain lekin kahin nahin paya kabhi bhule se gham jo bhul gaya jaise zinda hai tu dhiyan aaya hae phir main ne tujh ko yaad kiya tujh ko muztar kiya ki shad kiya ham-nashini ki umr ko kotah kar diya go teri shitabi ne teri surat ko bhulne na diya rukh-e-mazi ki be-naqabi ne lazzat-e-karobar gum kar di khana-e-shauq ki kharabi ne ye tamasha ajib hai ki kabhi kisi duniya ki kaamyabi ne itifaqan jo dil ko shad kiya main ne tujh ko tadap ke yaad kiya