jo arsa pahle tut gaya kuchh yaaden un mein baqi hain fariyaaden bhi kuchh baqi hain shahnai ka hai koi maddham sur un diwaron mein gunj raha aao chalen us khandar mein jo arsa pahle tut gaya kuchh sae hamare bachpan ke kuchh yaad hamare logon ki is khandar se wabasta hain thi naqsh bahut si taswiren is khandar ki diwaron par tum jaante ho wo kis ki thin kuchh bachchon ki kuchh budhon ki kuchh mere apne bachpan ki aao chalen us khandar mein jo arsa pahle tut gaya aur sath bahut kuchh lut gaya wo dekh rahe ho banjar til is khandar ka wo hissa tha tab sahn use hum kahte the sab mil ke us mein rote the sham ki aksar chae hum us ja par baith ke pite the aao chalen us hisse mein jahan baith ke hum sab padhte the shor machaya karte the aur sab ko hansaya karte the kabhi ladte the kabhi rote the ye dekho ye jo mitti hai hum is mein khela karte the aur ghanton khela karte the wo dekho wo tuti dewdhi mere ghar ki chaukhat hai har sal naya sa rang koi hum log chadhate the is par jaante ho ye khandar kabhi aabaad bhi tha shadab bhi tha hum log isi mein rahte the ye ghar tha hamara pyara sa aur pyare pyare log bahut se sath hamare rahte the hum jashn manaya karte the un chahne wale logon ke lahje ki lahak aankhon ki chamak qadmon ki dhamak us ghar ki faza mein gunj rahi tum ghaur karo aahista chalo ye khandar nahin hai ghar hai mera is gardish-e-dauran ne jis ko yun lut liya barbaad kiya main laut ke ab jo aai hun asbab bahut se lai hun par sunne wala koi nahin nayab hue wo log sabhi wo aankhen thak ke mund bhi gai jo raat ko jaga karti thin ab ye to bas ek khandar hai aao chalen is khandar mein