achchhi nazm ki khwahish bilkul barish jaisi hoti hai ghan ghan baadal garje barse dhup bhale chamkili ho achchhi nazm ki khwahish bilkul aansu jaisi hoti hai garm garm aariz par bikhre chahe shab barfili ho achchhi nazm ki khwahish bilkul bachpan jaisi hoti hai chhote chhote bartan hon gudiya ho aur saheli ho achchhi nazm ki khwahish bilkul uljhan jaisi hoti hai jaise khud mein raaz chhupa ho jaise koi paheli ho achchhi nazm ki khwahish ek safar ke jaisi hoti hai rail mein meri man ho aur donon ki aas bareilly ho koi nazm na kahna jab tak tum par ye sab na utre nazm ka koi apna rutba apna mansab na utre