aao hum raqs-kunan shahr-e-tilismat mein jazbaat ke rangon se zamane ki nigahen bhar den aao hum raqs karen hum wo kirdar hain jo kai sadiyon ka safar kat ke aae hain yahan sabz jhilon pe ayan aks hamare hi to hain aao khwabon ko kisi lai mein pirote hain ghazal kahte hain jis mein hon dard sabhi hum hain gum-gashta sadaon ke khazine jo kabhi in fazaon mein hue dafn jahan dewtaon ne kai hijr ke tufan phunke hum ne gumnam zamanon ki hain faslen odhin hum ne kohsaron pe naghmat bikhere hain kai hum parindon ki zaban jaante the hum mohabbat ki azan dete the hum ne taron ko ziya-bar kiya kya tumhein yaad hai hum ne bhi kabhi wasl piya waqt ne pyas utari hum par dasht-dar-dasht sulagti hui aahon ko mujassam kar ke hum ne hamwar kiye the raste hum bhi taqsim hue lahjon mein dastanon mein sarakte hoi lafzon mein hamari ruhen gunjte gunjte anjam talak aa pahunchen hath se hath milao ab to sans se sans jalao ab to kyun gurezan ho qarib aane se aao ab raqs-kunan ishq ki takmil karen