zamane ke koh-e-giran ki surangon mein jalti hui mishalen le ke sham o sahar dhundhta hun ki koi kiran koi rauzan koi mauj-e-ba-e-taza jo mil jae main mawara-e-nazar ki jhalak pa sakun is bhayanak andhere mein ghutte hue ji ko bahla sakun main jab pahli bar in surangon mein dakhil hua tha mujhe kya khabar thi yahan se mafar ki koi rah mumkin nahin har daqiqa mujhe aur uljhaega sina-koh ki pech-dar-pech rahon mein har pal ki parchhain tarikiyon mein izafa karegi mujhe kya khabar thi ki har aarzu mujh ko maqsud se dur-tar kar sakegi magar mere dil mein ye kaisi khalish hai ki har paspai nau-ba-nau mujh ko sai-e-musalsal pe uksa rahi hai surangon ki wahshat nazar ke shararon ko bhadka rahi hai mujhe justuju aage le ja rahi hai