aao kamre se nikalte hain kahin chalte hain rauzan-e-habs mein thahri hui zindan ki hawa pa-ba-zanjir kiye jati hai har taraf khauf bhari aankhon mein ek talwar si lahraati hai koi dar baz nahin zer-e-lab bhi koi aawaz nahin aisa andesha-e-kam-yabi-e-harf kuchh bhi to yaad nahin hum koi baat saliqe se nahin kahte the is pe bhi shokhi-e-guftar ka aalam ye tha ek pal chup bhi nahin rahte the aao kamre se nikalte hain kahin chalte hain dur pedon se ulajhti hui khwabida hawa ka daman chupke se khinchte hain aao kahin baithte hain hum wahi aab-o-hawa bhi hai wahi asar-e-ab-o-hawa koi nahin sans lene ki saza bhi hai wahi aur phir aisi saza koi nahin tesha-e-jabr se takrae hue hathon mein nama-e-ahd-e-wafa bhi hai wahi is mein bhi bu-e-wafa koi nahin aur agar hai to pata koi nahin aao phir aisa karen dil mein jo kuchh bhi hai tahrir karen pani par ya phir ek duje ki peshani par aab aur aag ke is khel mein malum nahin kaun hai kis ki nigahbani par phir bhi mahsus to hota hai hamein koi mamur hai nigarani par koi aawaz koi harf-e-sada zer-e-lab koi dua ya koi chikh ki sannate ki diwar gire aur lagatar gire aao kamre se nikalte hain kahin chalte hain hum jo hairani se ek dusre ko takte hain