bachpan ke dukh kitne achchhe hote the tab to sirf khilaune tuta karte the wo khushiyan bhi jaane kaisi khushiyan thin titli ke par noch ke nacha karte the panw mar ke khud barish ke pani mein apni naw aap duboya karte the chhote the to makr-o-fareb bhi chhote the dana dal ke chidiya pakda karte the apne jal jaane ka bhi ehsas na tha bhadke hue shoalon ko chheda karte the aaj bhi un ki yaaden nind udati hain bachpan mein jo hum ne sapne dekhe the ab to ek aansu ruswa kar jata hai bachpan mein ji bhar ke roya karte the