aao ki koi khwab bunen kal ke waste warna ye raat aaj ke sangin daur ki das legi jaan o dil ko kuchh aaise ki jaan o dil ta-umr phir na koi hasin khwab bun saken go hum se bhagti rahi ye tez-gam umar khwabon ke aasare pe kati hai tamam umar zulfon ke khwab honton ke khwab aur badan ke khwab mearaj-e-fan ke khwab kamal-e-sukhan ke khwab tahzib-e-zindagi ke farogh-e-watan ke khwab zindan ke khwab kucha-e-dar-o-rasan ke khwab ye khwab hi to apni jawani ke pas the ye khwab hi to apne amal ki asas the ye khwab mar gae hain to be-rang hai hayat yun hai ki jaise dast-e-tah-e-sang hai hayat aao ki koi khwab bunen kal ke waste warna ye raat aaj ke sangin daur ki das legi jaan o dil ko kuchh aaise ki jaan o dil ta-umr phir na koi hasin khwab bun sakin