jab kisi tamtamate hue jism ka sarsaraata hua pairahan ras-bhare santare ke chamakdar chhilke ki manind utarne lagega dhundalke mein soe hue narm basar ki ninden kisi sondhi khushbu ki jhankar se jab uchat jaengi aur uljhi hui garm sanson ki maujon pe mein be-sahaara bhatakti hui naw ki tarah bahne lagunga yaqin hai mujhe tum hawaon ki poshak pahne hue band kamre ki jannat mein dar aaogi ajnabi muskuraate hue jism ke ek ek naqsh mein aap hi aap dhal jaogi dur ufuq ke qarin wo parinde fazaon mein aahista aahista tahlil ho jaenge