1 yun to marne ke liye zahr sabhi pite hain zindagi tere liye zahr piya hai main ne shama jalti hai par ek raat mein jal jati hai yan to ek umr isi tarah se jalte guzri kaun si khak hai ye jaane kahan ka hai khamir ek nae sanche mein har roz hi dhalte guzri kis tarah main ne guzari hain ye gham ki ghadiyan kash main aisi kahani ko suna bhi sakta tana-zan hain jo mere haal pe arbab-e-nashat un ko ek bar main ai kash rula bhi sakta main ki shaer hun main paighambar-e-fitrat hun meri takhil mein hai ek jahan-e-bedar dastaras mein meri nazzara-e-gul-ha-e-chaman mere idrak mein hain kun-fayakun ke asrar mere ashaar mein hai qalb-e-hazin ki dhadkan meri nazmon mein meri ruh ki dil-doz pukar phir bhi rah rah ke khatakti hai mere dil mein ye baat ki mere pas to alfaz ka ek parda hai sirf alfaz se taswir nahin ban sakti sirf ehsas mein haalat ki tafsir kahan sirf fariyaad mein zakhmon ki wo zanjir kahan aisi zanjir ki ek ek kadi mein jis ki kitni khoi hui khushiyon ke manazir pinhan kitni bhuli hui yaadon ke pur-asrar khandar kitne ujde hue lute hue sunsan nagar kitne aate hue jate hue chehron ke nuqush kitne bante hue mitte hue lamhat ka raaz kitni uljhi hui rahon ke nasheb aur faraaz 2 kya kahun mujh ko kahan lai meri umr-e-rawan aankh kholi to har ek samt andheron ka saman rengti unghti maghmum si ek rahguzar gard-e-alam mein khoya hua manzil ka nishan gesu-e-sham se lipti hui gham ki zanjir sina-e-shab se nikalti hui fariyaad-o-fughan thandi thandi si hawaon mein wo ghurbat ki thakan dar-o-diwar pe tarik se sae larzan kitni khoi hui bimar o fasurda aankhen timtimate se diye chaar taraf nauha-kunan muzmahil chehre masaib ki giran-bari se dil-e-majruh se uthta hua ghamnak dhuan yahi tariki-e-gham to mera gahwara hai main isi kokh mein tha nur-e-sahar ke manind har taraf sog mein duba hua mera mahaul mera ujda hua ghar 'mir' ke ghar ke manind ek taraf azmat-e-aslaf ka mathe pe ghurur aur ek samt wo iflas ke phaile hue jal bhuk ki aag mein jhulse hue sare arman qarz ke bojh se jine ki umangen pamal waqt ki dhund mein lipte hue kuchh pyar ke git mehr o ikhlas zamane ki jafaon se nidhaal bhai bhai ki mohabbat mein nirale se shukuk nigah-e-ghair mein jis tarah anokhe se sawal ek hangame pe mauquf thi ghar ki raunaq muflisi sath liye aai thi ek jang-o-jidal faqa-masti mein bikharte hue sare rishte tang-dasti ke sabab sari fazaen behaal ek jahannam ki tarah tha ye mera gahwara is jahannam mein mere bap ne dam tod diya tut kar rah gae bachpan ke suhane sapne mujh se munh pher liya jaise meri shokhi ne mere hanste hue chehre pe udasi chhai jaise ek raat bhayanak mere sar par aai rahen dushwar magar rah-numa koi na tha samne wusat-e-aflak khuda koi na tha mere ajdad ki miras ye viran sa ghar jis ko ghere hue har samt tabahi ke bhanwar jis ki chhat girti hui tuta hua darwaza har taraf jaise bikharta hua ek shiraaza na kahin atlas-o-kamkhwab na diba-o-harir har taraf munh ko basore hue jaise taqdir mujh ko us ghar se mohabbat to bhala kya hoti yan agar dil mein na jine ki tamanna hoti ye samajh kar ki yahi hai meri qismat ka likha us ki diwar ke sae mein lipta rahta lekin is dil ki khalish ne mujhe bedar kiya mujh ko haalat se aamada-e-paikar kiya be-kasi rakht-e-safar ban kar mere sath chali yaad aai thi mujhe ganw ki ek ek gali lahlahati hui faslen wo mere aam ke bagh wo makanon mein larazte hue dhundle se charagh dur tak pani mein phaile hue wo dhan ke khet aur talab-kinare wo chamakti hui ret mere ham-umr wo sathi wo mere ham-joli mere school ke wo dost meri wo toli ek bar un ki nigahon ne mujhe dekha tha jaise ek bar mere dil ne bhi kuchh socha tha main ne jab wadi-e-ghurbat mein qadam rakkha tha dur tak yaad-e-watan aai thi samjhane ko
This is a great piya haji ali shayari. True lovers of tumsa haseen shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this pita ke upar shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!