ai siphar-e-barin ke sayyaro ai faza-e-zamin ke gul-zaro ai pahadon ki dil-fareb faza ai lab-e-ju ki thandi thandi hawa ai anadil ke naghma-e-sahari ai shab-e-mahtab taron bhari ai nasim-e-bahaar ke jhonko dahr-e-na-paedar ke dhoko tum har ek haal mein ho yun to aziz the watan mein magar kuchh aur hi chiz jab watan mein hamara tha ramna tum se dil bagh bagh tha apna tum meri dil-lagi ke saman the tum mere dard-e-dil ke darman the tum se katta tha ranj-e-tanhai tum se pata tha dil shakebai aan ek ek tumhaari bhati thi jo ada thi wo ji lubhati thi karte the jab tum apni gham-khwari dhoi jati thin kulfaten sari jab hawa khane bagh jate the ho ke khush-haal ghar mein aate the baith jate the jab kabhi lab-e-ab dho ke uthte the dil ke dagh shitab koh o sahra o aasman o zamin sab meri dil-lagi ki shaklen thin par chhuta jis se apna mulk o dayar ji hua tum se khud-ba-khud bezar na gulon ki ada khush aati hai na sada bulbulon ki bhati hai sair-e-gulshan hai ji ka ek janjal shab-e-mahtab jaan ko hai wabaal koh o sahra se ta lab-e-dariya jis taraf jaen ji nahin lagta kya hue wo din aur wo raaten tum mein agli si ab nahin baaten hum hi ghurbat mein ho gae kuchh aur ya tumhaare badal gae kuchh taur go wahi hum hain aur wahi duniya par nahin hum ko lutf duniya ka ai watan ai mere bahisht-e-barin kya hue tere aasman o zamin raat aur din ka wo saman na raha wo zamin aur wo aasman na raha teri duri hai morid-e-alam tere chhutne se chhut gaya aaram kate khata hai bagh bin tere gul hain nazron mein dagh bin tere mit gaya naqsh kaamrani ka tujh se tha lutf zindagani ka jo ki rahte hain tujh se dur sada in ko kya hoga zindagi ka maza ho gaya yan to do hi din mein ye haal tujh bin ek ek pal hai ek ek sal sach bata to sabhi ko bhata hai ya ki mujh se hi tera nata hai main hi karta hun tujh pe jaan nisar ya ki duniya hai teri aashiq-e-zar kya zamane ko tu aziz nahin ai watan tu to aisi chiz nahin jin o insan ki hayat hai tu murgh o mahi ki kaenat hai tu hai nabaatat ka numu tujh se rukh tujh bin hare nahin hote sab ko hota hai tujh se nashw-o-numa sab ko bhati hai teri aab-o-hawa teri ek musht-e-khak ke badle lun na hargiz agar bahisht mile jaan jab tak na ho badan se juda koi dushman na ho watan se hawa hamla jab qaum-e-arya ne kiya aur baja un ka hind mein danka mulk wale bahut se kaam aae jo bache wo ghulam kahlae shudr kahlae rakshas kahlae ranj pardes ke magar na uthae go ghulami ka lag gaya dhabba na chhuta un se des par na chhuta qadr ai dil watan mein rahne ki puchhe pardesiyon ke ji se koi jab mila ram-chandr ko ban-bas aur nikla watan se ho ke udas bap ka hukm rakh liya sar par par chala sath le ke dagh-e-jigar panw uthta tha us ka ban ki taraf aur khinchta tha dil watan ki taraf guzre ghurbat mein is qadar mah-o-sal par na bhola ayodhya ka khayal des ko ban mein ji bhatakta raha dil mein kanta sa ek khatakta raha tir ek dil mein aa ke lagta tha aati thi jab ayodhya ki hawa katne chaudah baras hue the muhaal goya ek ek jug tha ek ek sal hue yasrib ki samt jab rahi sayyed-e-abtahi ke hamrahi rishte ulfat ke sare tod chale aur bilkul watan ko chhod chale go watan se chale the ho ke khafa par watan mein tha sab ka ji atka dil-lagi ke bahut mile saman par na bhule watan ke registan dil mein aathon pahar khatakte the sang-reze zamin-e-batha ke ghar jafaon se jin ki chhuta tha dil se rishta na un ka tuta tha huin yusuf ki sakhtiyan jab dur aur hua mulk-e-misr par mamur misr mein chaar su tha hukm rawan aankh thi jaanib-e-watan nigaran yaad-e-kanan jab us ko aati thi saltanat sari bhul jati thi dukh uthae the jis watan mein sakht taj bhata na us baghair na takht jin se dekhi thi sakht be-mehri lau thi un bhaiyon ki dil ko lagi hum bhi hubb-e-watan mein hain go gharq hum mein aur un mein hai magar ye farq hum hain nam-e-watan ke diwane wo the ahl-e-watan ke parwane jis ne yusuf ki dastan hai suni jaanta hoga ruedad us ki misr mein qaht jab pada aa kar aur hui qaum bhuk se muztar kar diya waqf un pe baitulmal lab tak aane diya na harf-e-sawal khatiyan aur kothe khol diye muft sare zakhire tol diye qafile khali hath aate the aur bharpur yan se jate the yun gae qaht ke wo sal guzar jaise bachchon ki bhuk waqt-e-sahar ai dil ai banda-e-watan hoshiyar khwab-e-ghaflat se ho zara bedar o sharab-e-khudi ke matwale ghar ki chaukhat ke chumne wale nam hai kya isi ka hubb-e-watan jis ki tujh ko lagi hui hai lagan kabhi bachchon ka dhyan aata hai kabhi yaron ka gham satata hai yaad aata hai apna shahr kabhi lau kabhi ahl-e-shahr ki hai lagi naqsh hain dil pe kucha-o-bazar phirte aankhon mein hain dar-o-diwar kya watan kya yahi mohabbat hai ye bhi ulfat mein koi ulfat hai is mein insan se kam nahin hain darind is se khali nahin chairnd o parind tukde hote hain sang ghurbat mein sukh jate hain rukh furqat mein ja ke kabul mein aam ka pauda kabhi parwan chadh nahin sakta aa ke kabul se yan bihi-o-anar ho nahin sakte barwar zinhaar machhli jab chhutti hai pani se hath dhoti hai zindagani se aag se jab hua samundar dur us ko jine ka phir nahin maqdur ghode jab khet se bichhadte hain jaan ke lale un ke padte hain gae, bhains unt ho ya bakri apne apne thikane khush hain sabhi kahiye hubb-e-watan isi ko agar hum se haiwan nahin hain kuchh kam-tar hai koi apni qaum ka hamdard nau-e-insan ka samjhen jis ko fard jis pe itlaq-e-admi ho sahih jis ko haiwan pe de saken tarjih qaum par koi zad na dekh sake qaum ka haal-e-bad na dekh sake qaum se jaan tak aziz na ho qaum se badh ke koi chiz na ho samjhe un ki khushi ko rahat-e-jaan wan jo nau-roz ho to id ho yan ranj ko un ke samjhe maya-e-gham wan agar sog ho to yan matam bhul jae sab apni qadr-e-jalil dekh kar bhaiyon ko khwar-o-zalil jab pade un pe gardish-e-aflak apni aasaishon pe dal de khak baithe be-fikr kya ho ham-watano utho ahl-e-watan ke dost bano mard ho tum kisi ke kaam aao warna khao piyo chale jao jab koi zindagi ka lutf uthao dil ko dukh bhaiyon ke yaad dilao pahno jab koi umda tum poshak karo daman se ta gareban chaak khana khao to ji mein tum sharmao thanda pani piyo to ashk bahao kitne bhai tumhaare hain nadar zindagi se hai jin ka dil bezar naukaron ki tumhaare jo hai ghiza un ko wo khwab mein nahin milta jis pe tum jutiyon se phirte ho wan mayassar nahin wo odhne ko khao to pahle lo khabar un ki jin pe bipta hai nisti ki padi pahno to pahle bhaiyon ko pahnao ki hai utran tumhaari jin ka banaw ek dali ke sab hain barg-o-samar hai koi un mein khushk aur koi tar sab ko hai ek asl se paiwand koi aazurda hai koi khursand muqbilo mudabbiron ko yaad karo khush-dilo gham-zadon ko shad karo jagne wale ghafilon ko jagao tairne walo dubton ko tirao hain mile tum ko chashm o gosh agar lo jo li jae kor-o-kar ki khabar tum agar hath panw rakhte ho langde lulon ko kuchh sahaara do tandurusti ka shukr kiya hai batao ranj bimar bhaiyon ka hatao tum agar chahte ho mulk ki khair na kisi ham-watan ko samjho ghair ho musalman us mein ya hindu bodh mazhab ho ya ki ho brahamu jafri howe ya ki ho hanafi jin-mat howe ya ho waishnawi sab ko mithi nigah se dekho samjho aankhon ki putliyan sab ko mulk hain ittifaq se aazad shahr hain ittifaq se aabaad hind mein ittifaq hota agar khate ghairon ki thokaren kyunkar qaum jab ittifaq kho baithi apni punji se hat dho baithi ek ka ek ho gaya bad-khwah lagi ghairon ki padne tum pe nigah phir gae bhaiyon se jab bhai jo na aani thi wo bala aai panw iqbaal ke ukhadne lage mulk par sab ke hath padne lage kabhi turaniyon ne ghar luta kabhi durraniyon ne zar luta kabhi nadir ne qatl-e-am kiya kabhi mahmud ne ghulam kiya sab se aakhir ko le gai bazi ek shaista qaum maghrib ki ye bhi tum par khuda ka tha inam ki pada tum ko aisi qaum se kaam warna dum marne na pate tum padti jo sar pe wo uthate tum mulk raunde gae hain pairon se chain kis ko mila hai ghairon se qaum se jo tumhaare bartaw socho ai mere pyaro aur sharmao ahl-e-daulat ko hai ye istighna ki nahin bhaiyon ki kuchh parwa shahr mein qaht ki duhai hai jaan-e-alam labon pe aai hai bachche ek ghar mein bilbilate hain ro ke man bap ko rulate hain koi phirta hai mangta dar dar hai kahin pet se bandha patthar par jo hain un mein sahib-e-maqdur un mein ginti ke honge aise ghayur ki jinhen bhaiyon ka gham hoga apni rahat ka dhyan kam hoga jitne dekhoge paoge be-dard dil ke namard aur nam ke mard aish mein jin ke katte hain auqat id hai din to shabbaraat hai raat qaum marti hai bhuk se to mare kaam unhen apne halwe-mande se in ko ab tak khabar nahin aslan shahr mein bhaw kya hai ghalle ka ghalla arzan hai in dinon ki giran kal hai shahr mein pada ki saman kal kya shai hai kis ko kahte hain bhuk bhuk mein kyunki marte hain mafluk ser bhuke ki qadr kya samjhe us ke nazdik sab hain pet bhare ahl-e-daulat ka sun chuke tum haal ab suno ruedad-e-ahl-e-kamal fazilon ko hai fazilon se inad panditon mein pade hue hain fasad hai tabibon mein nok-jhok sada ek se ek ka hai thuk juda rahne do ahl-e-ilm hain is tarah pahalwanon mein lag ho jis tarah idu walon ka hai agar pattha shekhu walon mein ja nahin sakta shairon mein bhi hai yahi takrar khushnaweson ko hai yahi aazar lakh nekon ka kyun na ho ek nek dekh sakta nahin hai ek ko ek is pe turra ye hai ki ahl-e-hunar dur samjhe hue hain apna ghar mili ek ganth jis ko haldi ki us ne samjha ki main hun pansari nuskha ek tib ka jis ko aata hai sage-bhai se wo chhupata hai jis ko aata hai phunkna kushta hai hamari taraf se wo gunga jis ko hai kuchh ramal mein malumat wo nahin karta sidhe munh se baat bap bhai ho ya ki ho beta bhed pata nahin munajjam ka kaam kandle ka jis ko hai malum hai zamane mein us ki bukhl ki dhum al-gharaz jis ke pas hai kuchh chiz jaan se bhi siwa hai us ko aziz qaum par un ka kuchh nahin ehsan un ka hona na hona hai yaksan sab kamalat aur hunar un ke qabr mein un ke sath jaenge qaum kya kah ke un ko roegi nam par kyun ki jaan khoegi tarbiyat-yafta hain jo yan ke khwah b-a hon is mein ya ma bharte hubb-e-watan ka go dam hain par muhibb-e-watan bahut kam hain qaum ko un se jo umiden thin ab jo dekha to sab ghalat niklin history un ki aur geography sat parde mein munh diye hai padi band us qufl mein hai ilm un ka jis ki kunji ka kuchh nahin hai pata lete hain apne dil hi dil mein maze goya gunge ka gud hain khae hue karte phirte hain sair-e-gul tanha koi pas un ke ja nahin sakta ahl-e-insaf sharm ki ja hai gar nahin bukhl ye to phir kya hai tum ne dekha hai jo wo sab ko dikhao tum ne chakha hai jo wo sab ko chakhao ye jo daulat tumhaare pas hai aaj ham-watan is ke hain bahut mohtaj munh ko ek ek tumhaare hai takta ki nikalta hai munh se aap ke kya aap shaista hain to apne liye kuchh suluk apni qaum se bhi kiye mez kursi agar lagate hain aap qaum se puchhiye to pun hai na pap munda juta gar aap ko hai pasand qaum ko is se faeda na gazand qaum par karte ho agar ehsan to dikhao kuchh apna josh-e-nihan kuchh dinon aish mein khalal dalo pet mein jo hai sab ugal dalo ilm ko kar do ku-ba-ku arzan hind ko kar dikhao englistan sunte ho samain-e-ba-tamkin sunte ho hazrin-e-sadr-nashin jo hain duniya mein qaum ke hamdard banda-e-qaum un ke hain zan o mard bap ki hai dua ye bahr-e-pisar qaum ki main banaun us ko sipar man khuda se ye mangti hai murad qaum par se nisar ho aulad bhai aapas mein karte hain paiman tu agar mal de to main dun jaan ahl-e-himmat kama ke late hain ham-watan faede uthate hain kahin hote hain madrase jari dakhl aur kharj jin ke hain bhaari aur kahin hote hain club qaem mabhas-e-hikmat aur adab qaem nit-nae khulte hain dawa-khane bante hain saikdon shifa-khane mulk mein jo maraz hain aalam-gir qaum par un ki farz hai tadbir hain sada is udhed-bun mein tabib ki koi nuskha hath aae ajib qaum ko pahunche manfat jis se mulk mein phailen faede jis ke khap gae kitne ban ke jhadon mein mar gae saikdon pahadon mein likhe jab tak jiye safar-name chal diye hath mein qalam thame go safar mein uthae ranj-e-kamal kar diya par watan ko apne nihaal hain ab in ke gawah hubb-e-watan dar-o-diwar-e-paris o london kaam hain sab bashar ke ham-watanon tum se bhi ho sake to mard bano chhodo afsurdagi ko josh mein aao bas bahut soe uttho hosh mein aao qafile tum se badh gae koson rahe jate ho sab se pichhe kyun qafilon se agar mila chaho mulk aur qaum ka bhala chaho gar raha chahte ho izzat se bhaiyon ko nikalo zillat se un ki izzat tumhaari izzat hai un ki zillat tumhaari zillat hai qaum ka mubtadil hai jo insan be-haqiqat hai garche hai sultan qaum duniya mein jis ki hai mumtaz hai faqiri mein bhi wo ba-eazaz izzat-e-qaum chahte ho agar ja ke phailao un mein ilm-o-hunar zat ka fakhr aur nasab ka ghurur uth gae ab jahan se ye dastur ab na sayyad ka iftikhar sahih na barhaman ko shudr par tarjih hui turki tamam khanon mein kat gai jad se khandanon mein qaum ki izzat ab hunar se hai ilm se ya ki sim-o-zar se hai koi din mein wo daur aaega be-hunar bhik tak na paega na rahenge sada yahi din raat yaad rakhna hamari aaj ki baat gar nahin sunte qaul 'haali' ka phir na kahna ki koi kahta tha
This is a great thandi hawa ki shayari. True lovers of dhoka shayari photos will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore naseem nikhat ki shayari. Please share if you liked this!!!