man ki baat kahi na jae man ki baat kahi na jae man ka bhed kahun kya un se lab tak aakar rah jata hai un se jo shikwa hai mujh ko ashkon mein hi bah jata hai kaun hai mujh ko jo samjhae man ki baat kahi na jae kyunkar bolun un se sajni kaisi guzrin meri raaten kitna phika sawan bita kitni suni thin barsaten nainan dukh ke nir bahae man ki baat kahi na jae ek pal chain na paun un bin yaad aate hain jagte sote din bite hai aahen bharte raat kate hai rote rote jine se ab ji ghabrae man ki baat kahi na jae yaad nahin rahti hain baaten prem mein hosh bhi kho deti hun kahti hun kah dungi sab kuchh jab aate hain ro deti hun dil ki dil hi mein rah jae man ki baat kahi na jae