Shell Shocked

kan ke pas se nikli goli
zehn ke andar thahar gai hai

kan ke parde par ek chun ka lamba parda pada hua hai
bachchon ke hansne ki khan-khan

mausam ke pazeb ki chhan-chhan
chikh ho koi ya phir siski

is parde par hi hai thithki
ya'ni koi lafz koi aawaz mere andar aa kar ab

dhundh nahin sakti apni lai
mujh mein kahin nahin ab wo shai

bam ka dhuan to bam phatne ke kuchh hi der mein hawa hawa tha
lekin us ki chamak aankh par thahri hui hai

binai pe jaise koi waraq chadha hai chandi ka
subh subh koi phul khile

ya der raat ek film chale
ya tum aa jao sham dhale kuchh bhi dekh nahin sakta main

mujh ko dekho
aur batao

jite hue lashkar ke sipahi
aise kaise ho jate hain?


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close