ehtajaji muzahire ke dauran idhar udhar bhagte hue logon ke beach sadak par phatne wale aansu gas ke shel ki tarah aap ki nazmen padhte hue aankhon mein jalan hone lagti hai gale mein kharashen pad jati hain nak se be-tahasha pani bahne lagta hai bhagne wale logon ki tarah dil bahut zor se dhadakne lagta hai apni haaliya nazmon mein siwrej pipe ke sath chalne wali khud-raw belon ke bajae aap gande pani ka zikr kar rahe hain railway line ke aas pas khilne wale phulon ke bajae express train par na-malum dakuon ki firing ka zikr khatre ki alamat hai aur kolhi auraton ke khilaf police operation ki baat to intihai pareshan-kun hai world-cup ki khushi mein hawai firing se halak hone wali aurat ki maut mahz ittifaqiya thi aap us ki yaad mein nare-bazi na karen qaed-e-hazb-e-ikhtilaf ki tarah aap ko hamari har policy se ikhtilaf hai aap ke liye hamara har aaini qadam ghair aaini hai aur hamari har peshkash qubul aap ko hamari har baat par ghussa aata hai aur hamein khair chhoden aap ki nai nazm ka har lafz kirae ke gorilon ki banduqon se nikalne wali goliyon ki tarah hai hum aap ko ek saza-yafta dahshat bana sakte hain ya ek ghair-mulki agnet qarar de sakte hain aap ghaddar bhi ho sakte hain magar filhaal hamare liye aap ek ishtial-angez shair hain