aap kya karte hain main darakht lagata hun har raat ek naya darakht subh hone tak aasman se ja lagta hai mera darakht ab tak to jangal ban gaya hoga han kai jangal hain sab ke sab aasman se mile hue magar kisi mein dhup nahin hoti aur jaanwar aur parinde wo kya karte hain sab hain baithe rahte hain ek hi darakht ke niche jo main ne sab se pahle lagaya tha aur aap kahan rahte hain main usi darakht ke andar