aaraf

tum is zamin ko zamin hi rahne do
sab shayatin ko farishton ko khatm kar do

zamin jahannum ka aur jannat ka mazhar-e-ishtirak hai
ye ki ek hasin imtizaj hai jis mein pyar-o-ulfat ke

mithe chashme bhi nafraton ke ubalte aatish-fishan bhi
gul bhi hain khar bhi gulistan bhi hain regzar bhi hain

bulandiyan bhi hain pastiyan bhi hain
dhup chhanw ka raat din ka tazad bhi hai

yahan ki hain dil-kharash chikhen bhi rona-dhona bhi
aur khushiyon ke chand naghme bhi

sari dharti ke log aise hi
rukte chalte hain rote hanste hain

aasman ki karamaton ko bhi
apne hone ke almiye ko bhi jhelte hain

zamin ek marhala-e-takhliq-e-kaenati gunah-e-lazim
ya shahr-e-azdad ho bhi sakti hai kaun jaane

magar ye sach hai ki dilkashi aur husn
dharti ki fitri haiat mein hi milega

ye aasmani kitaben chhodo
zamin jannat na ban sakegi

zamin jahannum na ban sakegi
zamin ki aa'rafi haisiyat mein hi us ki azmat bhi mukhtafi hai

tum is zamin ko zamin hi rahne do


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close