KHushbu

tere lams-e-dast-e-hasin ki
dil-awez khushbu

teri ungliyon se
meri ungliyon mein guzarti hui jab

hatheli mein utri to main ne
use dast-e-tishna

mein kuchh is tarah se sameta
ki mahfuz kar lunga shayad abad tak

main apne liye sirf apne liye
tera husn-e-shagufta jamal-e-darakhshan

guman se hasin khwab tak main
ne mahsus tujh ko kiya panw se sar talak ho gaya main munawwar

kaf-e-arzu kholta hun
tujhe aaj aazad karta hun bu-e-farozan

hawaon mein nili fazaon mein udti phiro aasmanon ko chhu lo
sitaron pe utro

‘anasir ko bahon mein le lo
ki khushbu ho tum rang ho raushni ho

sar-e-mausam-e-gul
sanwarti hui kaif-e-jashn-e-ada mein

nai zindagi ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close