aaraf

sawaliya nishan ki qatar mein khade hue mufakkiro!
jawab do
wo kaun, kaisa, kis liye, kahan pe, kab se, kab talak?
sawal-e-shash-jahat ka jawab koi ab talak?
magar yahan kushad-e-chashm-o-lab kisi ke bas mein hai
sawal tak rasai jab muhaal hai
to himmat-e-jawab kis ke bas mein hai
wo kis ki dastaras mein hai
jo marifat ke lab khule
to pattharon ki barishon se suliyan lahuluhan ho gain
agar kisi payambar-e-azim ki nazar uthi
nigah bazgasht-e-na-murad ki shikastagi ke war se
basiraton ke zoam mein basarten bhi jal gain
to thik hai
tumhein kushad-e-chashm-o-lab ki lazzaton ki kya khabar
so tum hanuz barzakh-e-tazabzub-o-guman mein pade raho
mufakkiro!
sawaliya nishan ki qatar mein khade raho
This is a great himmat ki shayari in hindi. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close